ग्रुप से जुड़ें
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

OFSS Bihar 11th Admission 2026: OFSS बिहार 11वीं एडमिशन 2026 ऑनलाइन फॉर्म ofssbihar.net आज से शुरू

On: 12/04/2026
OFSS Bihar 11th Admission 2026

OFSS Bihar 11th Admission 2026: Bihar School Examination Board (BSEB) ki ore se rajya ke sabhi manyata prapt sarkari va gair sarkari sansthano me kaksha 11th me admission ke liye online aavedan prakriya aaj yani 8 April se start ho gayi hai. Jo chhatra 10th kaksha uttirn kar chuke hain aur aage ki padhai ke liye pravesh lena chahte hain ve Online Facilitation System for Students (OFSS) ofssbihar.net ke madhyam se aavedan kar sakte hain. Aapko bata dein ki is prakriya ke madhyam se rajya ki 17.50 lakh se adhik सीटों par pravesh diya jayega.

Cafe ya ghar se kar sakte hain apply

Admission ke liye chhatra ghar se computer/ laptop ke jariye ya cafe par jakar aavedan kar sakte hain. Registration karte samay chhatra nyuntam 10 vidyalayon evam adhiktam 20 vidyalayon ka chayan kar sakte hain. Cutoff marks ke anusar chhatra ko admission ke liye seat aavantit ki jayegi. Aavedan ke liye chhatraon ke liye mobile number evam email id darj karni hogi. Iske alava chhatraon ko aavedan ke liye registration number bhi darj karna hoga.

Also Read –

OFSS Bihar 11th Admission 2026 Application Fees

11th me admission ke liye chhatraon ko 350 rupaye aavedan shulk ka bhugtan karna hoga. Isme se 150 rupaye aavedan shulk aur 200 rupaye shikshan sansthan shulk hai. Students fees ka bhugtan e-challan, net banking, debit card, credit card ke madhyam se jama kar sakte hain.

Merit ke aadhar par hoga chayan

Aavedan karne wale chhatraon ko unke dwara kiye gaye vidyalay chayan, cutoff marks ke aadhar shortlist karke sansthan allot kiya jayega. Abhyarthiyon ko seat allotment ki suchna SMS, email evam website ke madhyam se di jayegi. Seat allot hone ke baad chhatra official website ofssbihar.net se intimation letter download kar sakenge.

OFSS Bihar 11th Admission 2026
OFSS Bihar 11th Admission 2026

OFSS Bihar 11th Admission 2026 Online Form – Link

Apply OnlineClick Here
Student LoginClick Here
College ListClick Here
Join TelegramClick Here
Join WhatsappClick Here
Official WebsiteClick Here
Home PageClick Here

Leave a Comment