---Advertisement---

UP Board Result 2026 Kab Aayega: तो क्या 10वीं और 12वीं का रिजल्ट 20 अप्रैल को आएगा रिजल्ट? बोर्ड ने दिया ये बड़ा अपडेट.

On: 05/04/2026
UP Board Result 2026 Kab Aayega
---Advertisement---

UP Board Result 2026 Kab Aayega: Uttar Pradesh Madhyamik Shiksha Parishad (UPMSP) UP Board High School aur Inter ki copies ki jaanch ki ja rahi hai jo 1 April tak puri hone ki ummeed hai. Mulyankan karya pura hone ke baad board ki ore se kareeb 15 se 20 din ka samay lag sakta hai. Aise mein result ka intezar kar rahe chhatro ka intezar April mah ke teesre ya chauthe saptah mein khatam ho sakta hai.

In dates mein natije jari hone ki rahegi ummeed

Agar tarikh ki baat ki jaye toh pichle varsho ke pattern aur media reports ke mutabik UP Board High School evam Intermediate ka result 15 April se 26 April 2026 tak kisi bhi din jari ho sakta hai. Official date evam samay ki ghoshna UP Board ki ore se jald hi ki jayegi.

Also Read –

Pichle 5 varsho mein result jari hone ki date

UP Board ki ore se pichle do varsho se result April mah mein jari kiya ja raha hai. Isse pehle result May evam June mah mein bhi jari kiya gaya tha. Varsh ke anusar result jari hone ki date nimnalikhit hai-

VarshResult jari hone ki date
202525 April
202420 April
202325 May
202229 April
202110th ka 29 July, 12th ka 14 July
UP Board Result 2026 Kab Aayega
UP Board Result 2026 Kab Aayega

Parinam check karne ka tarika

UP Board 10th 12th Result 2026 jari hone ke baad chhatra online madhyam se board ki websites upmsp.edu.in par jakar seedhe result check kar payenge. Iske alawa students DigiLocker app ya website ke saath hi SMS ke madhyam se bhi result ki jaanch kar sakenge.

Result ke saath toppers list bhi hogi jari

Natije jari hone ke saath hi board ki ore se rajya mein top karne wale students ki list bhi jari ki jayegi. Dono hi kakshao ki toppers list alag alag jari hogi. Rajya star par evam jila star par top karne wale students ko rajya sarkar dwara sammanit kiya jayega.

Important Link

12th Board Result 2026Click Here
10th Board Result 2026Click Here

Leave a Comment