---Advertisement---

MP Board 10th 12th Result 2026: एमपी बोर्ड 10th 12th रिजल्ट की उल्टी गिनती शुरू, इस डेट को परिणाम घोषित हो सकता है

On: 05/04/2026
MP Board 10th 12th Result 2026
---Advertisement---

MP Board 10th 12th Result 2026: एमपी बोर्ड 10th 12th रिजल्ट की उल्टी गिनती शुरू, इस डेट को परिणाम घोषित हो सकता है

Madhya Pradesh Board pariksha mein bhag lene wale kareeb 16 lakh students evam unke mata-pita ko ab result jari hone ka besabri se intezar hai jo jald hi khatam hoga. Jankari ke liye bata den ki abhi Madhyamik Shiksha Mandal Madhya Pradesh (MPBSE) ki 10th evam 12th dono hi kakshaon ka result 15 April 2026 ke aas-paas jari hone ki ummeed hai.

Kyun Jari Ho Raha Jaldi Result

Madhya Pradesh Board ki ore se High School evam Intermediate ki parikshaon ka aayojan do baar karwaya jata hai. Chunki board dwara 2nd board exam ke liye datesheet jari ki ja chuki hai jiske mutabik parikshaon ka aayojan 7 May se lekar 25 May tak karwaya jayega. Aise mein chhatraon ko dwitiya pariksha ki taiyariyon ke liye paryapt samay pradan karne ke liye 15 April tak natije jari kiye ja sakte hain.

Natije Aane Par Seedhe In Sites Se Check Kar Payenge Result

MP Board result jari hote hi direct link board ki official website mpresults.nic.in, mpbse.mponline.gov.in aur mpbse.nic.in par upalabdha karwa diya jayega. Iske baad chhatra roll number darj karke parinam ki janch kar sakenge. Result check karne ki steps nimnalikhit hain:

MP Board 10th 12th Result 2026
MP Board 10th 12th Result 2026
  • Step 1: MP Board High School Inter Ka Result check karne ke liye students ko sabse pehle aadhikarik website par jana hoga.
  • Step 2: Website ke home page par jis kaksha ka result (10th ya 12th) check karna hai us link par click karna hoga.
  • Step 3: Ab aapko roll number darj karke submit karna hoga.
  • Step 4: Iske baad result screen par open ho jayega jahan se aap ise check karne ke saath hi marksheet ki prati download kar sakenge.

Important Link

12th Board Result 2026Click Here
10th Board Result 2026Click Here
Official Website Click Here
HomeClick Here

Fail Students Ke Saath Hi Ank Sudhar Ke Liye Chhatra Dobara De Sakenge Pariksha

Jo chhatra board pariksha mein fail ho jayenge unko pareshan hone ki zaroorat nahi hai. Aise chhatra board ki ore se dobara aayojit ki jane wali pariksha mein bhag lekar apna saal kharab hone se bacha sakenge. Iske alawa jo students apne ankon mein sudhar karna chahenge ve bhi board pariksha mein dobara bhag lekar result mein sudhar kar sakenge.

Leave a Comment