UPMSP UP Board 10th Result 2026 Live, Uttar Pradesh Madhyamik Shiksha Parishad UP Board 10vi Result 2026, UP Board ki 10th class ki pareekshaye is varsh 24 February se 12 March 2026 tak aayojit ki. UP Board ki pareekshao mein shamil hone ke liye is saal 51 lakh se zyada students ne aavedan kiya. Inme Highschool yani 10th class ke liye 25,56,992 chhatra-chhatrao ne registration karaya.
UP Board Class 10th Result 2026 Re-evaluation Process
UP Board 10th ka result aane ke baad chhatra apna parinam upmsp.edu.in aur upresults.upmsp.edu.in par dekh sakte hain. Agar result aane ke baad aap apne anko se santusht nahi honge toh kapiyo ki dobara jaanch ke liye aavedan kar sakte hain. Iske liye aapko re-evaluation form bharne ke saath hi fees bhi jama karni hogi. Tab aapki kapiyo ka re-evaluation hoga. Aaiye jaante hain kaise hota hai UP Board dasvi mein re-evaluation?
Aise karna hota hai re-evaluation ke liye apply
Re-evaluation ya scrutiny ke liye aavedan karne ke liye candidates ko UP Board ki aadhikarik website se khaas is karya ke liye upalabdha form download karna hoga. Is form ko bharen aur jo bhi fees prati vishay maangi ja rahi ho, vah bhi jama karen. Yahan yeh batana aavashyak hai ki student ek se zyada vishay ka re-evaluation kara sakte hain. Bas aap jitne vishay ki scrutiny karate hain aapko sabki alag-alag fees deni hoti hai. Bhare huye form fees ki slip ke saath regional office mein deputy secretary ke paas pahunchani hoti hai. Aisa result declare hone ke tees din ke andar ho jaana chahiye.
Also Read –
- MP Board 10th 12th Result 2026: एमपी बोर्ड 10th 12th रिजल्ट की उल्टी गिनती शुरू, इस डेट को परिणाम घोषित हो सकता है
- UP Board Result 2026 Kab Aayega: तो क्या 10वीं और 12वीं का रिजल्ट 20 अप्रैल को आएगा रिजल्ट? बोर्ड ने दिया ये बड़ा अपडेट.
- MP Board Result 2026 LIVE: एमपी बोर्ड 10वीं-12वीं का रिजल्ट कब आएगा? जानें पासिंग मार्क्स, लिंक
- Up Board Ka Result Kab Jari Hoga: इंतेज़ार ख़तम! क्या परिणाम की अंतिम तिथि अभी जारी है?
- Up Board Ka Result Kab Tak Aayega 2026: कब आएगा 10वीं और 12वीं का रिजल्ट? यहाँ जानें सटीक डेट और समय
Re-evaluation ki fees aur anya jankariyan
Re-evaluation ki fees 500 rupaye hai. Is saal ismein koi badlav hoga ki nahi ye abhi nahi kaha ja sakta. Re-evaluation ka form bharte samay candidate is baat ka dhyan rakhen ki dobara copy check karne ke baad jo bhi ank aayenge ve unhe sweekar karne honge. Aam taur par scrutiny ke baad anko mein koi khaas badlav nahi hota hai par agar re-evaluation mein ank kam ho gaye toh candidate ko unhe hi sweekarna hoga. Isliye salah yahi di jati hai ki agar aapko lagta hai ki aapke exam acche gaye the par result us hisab se nahi aaya hai, toh hi dobara copy jaanchne ke liye aavedan karein. Re-evaluation ka result bhi online hi declare kiya jata hai.
Re-evaluation ka form bharte samay candidate is baat ka dhyan rakhen ki dobara copy check karne ke baad jo bhi ank aayenge ve unhe sweekar karne honge. Aam taur par scrutiny ke baad anko mein koi khaas badlav nahi hota hai par agar re-evaluation mein ank kam ho gaye toh candidate ko unhe hi sweekarna hoga. Isliye salah yahi di jati hai ki agar aapko lagta hai ki aapke exam acche gaye the par result us hisab se nahi aaya hai, toh hi dobara copy jaanchne ke liye aavedan karein. Re-evaluation ka result bhi online hi declare kiya jata hai.

Student ke liye 10th ki pareeksha ka khaas mahatva hota hai. Board pareeksha ke baad hi chhatra yeh faisla lete hain ki unhe bhavishya mein kis cheez ki padhai karni hai aur vah kya banna chahte hain.
UP Board 10th/12th Result 2026 ka latest update
UP Board kaksha 10th ke result ki ghoshna press conference ke zariye ki jayegi. UP Board result ghoshna ke turant baad result board ki aadhikarik website ke saath hi ABP News ki website par bhi upalabdha kara diya gaya.
Kaise check karein Up Board Result 10th 2026 Roll Number
- Iske liye U.P. Board ki website- upmsp.edu.in aur upresults.upmsp.edu.in par jayein
- Yahan UP Board 10th exam result 2026 par click karein
- Iske baad apna roll number yahan enter karein
- Iske baad aapka UP Board 10th result screen par aa jayega
- Result dekhne ke baad screen ka print avashya lein
Important Link
| 12th Board Result 2026 | Click Here |
| 10th Board Result 2026 | Click Here |








