ग्रुप से जुड़ें
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026: बिहार बोर्ड 10वीं पास स्कॉलरशिप में किसे मिलेंगे ₹8,000 और किसे ₹10,000? ऐसे करें ऑनलाइन आवेदन.

On: 05/04/2026
Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026

Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026: Kya aap bhi varsh 2026 mein Bihar Matric varshik pareeksha pass kar chuke hain aur ₹8,000 se lekar ₹10,000 tak ki scholarship prapt karke apne shaikshanik vikas ko aage badhana chahte hain? Agar haan, toh yeh jaanna aapke liye behad zaroori hai ki Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026 ke liye aavedan kaise karein, kitna rashi milegi aur iski antim tithi kya hai.

Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026: Toh hamara yeh article keval aapke liye hai, jismein hum aapko Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026 se judi puri jankari vistar se dene wale hain. Isliye aap is article ko ant tak zaroori padhein.

Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026: Overviews

ItemDetails
Board ka NaamBihar School Examination Board (BSEB)
Yojana ka NaamBihar Board Matric Pass Scholarship 2026
Labharthi10th pass chhatra-chhatraen
Scholarship Rashi₹8,000 – ₹10,000
Aavedan ModeOnline
Aavedan ShuruJald ghoshit hoga
Antim TithiJald ghoshit hoga

Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026 Important Dates (Expected)

EventTithi
Aavedan ShuruJald
Antim TithiJald
BhugtanAavedan ke baad

Bihar Board Matric Scholarship 2026 kya hai?

Yeh Bihar sarkar ki ek pramukh yojana hai, jiska uddeshya 10th pass chhatro ko aage ki padhai ke liye aarthik sahayata dena hai. Is yojana ke tahat alag-alag varg aur shreni ke chhatro ko unki patrata ke anusar scholarship di jati hai. Ladka aur ladki dono ko scholarship milta hai, Rashi seedhe bank khate mein DBT ke madhyam se bheji jati hai.

Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026
Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026

Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026 Kitna milega scholarship? (Scheme Wise Details)

Yojana ka NaamRashi
Mukhyamantri Balika Protsahan Yojana₹10,000
Mukhyamantri Vidyarthi Protsahan Yojana₹10,000
Alpsankhyak Balika Protsahan Yojana₹10,000
Pichda Varg Medhavritti Yojana₹10,000
Atyant Pichda Varg Yojana₹10,000
SC/ST Medhavritti (1st Division)₹10,000
SC/ST Medhavritti (2nd Division)₹8,000

Yani agar aap First Division se pass hain toh ₹10,000 aur Second Division se pass hain toh ₹8,000 mil sakta hai.

Kaun kar sakta hai aavedan? (Eligibility Criteria)

Mukhyamantri Balika Protsahan Yojana

  • Keval ladkiyon ke liye
  • First Division se pass hona zaroori

Mukhyamantri Vidyarthi Protsahan Yojana

  • Samanya varg ke ladke
  • Parivar ki aay ₹1.5 lakh se kam
  • First Division zaroori

Alpsankhyak Yojana

  • Muslim, Sikh, Isai, Jain aadi
  • First Division pass

BC/EBC Yojana

  • Pichda aur atyant pichda varg
  • First Division pass

SC/ST Yojana

  • First Division → ₹10,000
  • Second Division → ₹8,000

Bihar Board Matric Scholarship 2026 Zaroori dastavez (Documents Required)

Online aavedan karne se pehle ye sabhi document taiyar rakhein:

  • Aadhar Card (NPCI link hona chahiye)
  • 10th ka marksheet
  • Registration Number
  • Aay Praman Patra
  • Jati Praman Patra
  • Nivas Praman Patra
  • Bank Passbook
  • Passport size photo
  • Mobile Number aur Email ID

Bihar Board Matric Scholarship 2026 Online Apply kaise karein?

Step 1: Registration karein

  • Official website par jayein
  • “Apply Now” par click karein
  • “New User Register Here” chunein
  • Form bharen aur submit karein
  • Login ID aur Password prapt karein

Step 2: Application Form bharen

  • Portal mein Login karein
  • Application Form kholein
  • Sabhi jankari sahi-sahi bharen
  • Document upload karein
  • Submit karein aur Application Slip download karein

Bihar Board 10th Scholarship 2026 Application Status kaise check karein?

  • Official website par jayein
  • “Check Application Status” par click karein
  • Registration Number dalein
  • Submit karein
  • Aapka status screen par dikh jayega

Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026: Important Links

Apply OnlineLink Active
Download NotificationClick Here
Join Telegram ChannelClick Here
Join Whatsapp ChannelClick Here
Official Website Click Here
Home PageClick Here

Nishkarsh (Conclusion)

Bihar Board Matric Pass Scholarship 2026 un sabhi chhatro ke liye ek shandar mauka hai jinhone 10th pass ki hai aur aage ki padhai jari rakhna chahte hain. Is yojana ke tahat milne wali ₹8,000 se ₹10,000 ki sahayata aapke bhavishya ko mazboot bana sakti hai.

Leave a Comment