ग्रुप से जुड़ें
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

OFSS Bihar Inter Admission 2026 Online Apply Date: इंटर में नामांकन की प्रक्रिया इस दिन से होगी शुरू, आवेदन से पहले तैयार रखें ये जरूरी दस्तावेज @ofssbihar.net

On: 05/04/2026
OFSS Bihar Inter Admission 2026 Online Apply Date

Bihar Board 11th Admission 2026: Online Apply, Important Documents, Last Date, Apply Online @ofssbihar.net, BSEB 11th Admission 2026, Class 11th Admission 2026, inter admission 2026, 11th Admission 2026 Online Apply…

Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti (BSEB) dwara Bihar Board 11th Admission 2026 hetu online aavedan ki prakriya jald shuru hone wali hai. Jo bhi vidyarthi kaksha 11vin satra 2026-28 mein namankan lene wale hai unko bata de ki samiti April, 2026 mein aavedan ki prakriya shuru kar di jayegi. Is lekh ke madhyam se vistar purvak Bihar Board 11th Admission 2026 va 11th Admission 2026 Important Documents se judi sabhi jankari dene wala hoon, saath hi lekh ke ant mein Apply Link bhi dene wala hoon.

OFSS Bihar Inter Admission 2026 Online Apply: Overviews

Name of the BoardBihar School Examination Board, Patna
CategoryAdmission
Class11th / Inter
Session2026 – 28
Post TitleBihar Board 11th Admission 2026
BSEB 11th Admission 2026 Start Date?5 To 10 April, 2026 [Tentative]
Application Fee₹350 Rupees
Admission ModeOnline
official Websitehttps://ofssbihar.net/

Bihar Board 11th Admission 2026: Latest Update

Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti dwara Inter Admission 2026 ke liye 25.03.2026 ko Notification jaari kiya gaya hai. Bihar Board (BSEB) dwara intermediate ki shiksha pradan karne wale sabhi Government/Private shikshan sansthan ki suchi aadhikarik website www.ofssbihar.net par upload kar di gayi hai. Saath hi samiti dwara saaf saaf spast kar diya gaya hai ko sabhi sansthano ke pradhanadhyapak/ pracharya ko kisi prakar ki koi aapatti ho toh vah 30.03.2026 shaam 5:00 PM baje tak www.ofssbihar.net par Login kar aapatti darj kar sakte hai.

OFSS Bihar Inter Admission 2026 : Bihar Board 11vin Admission 2026 Shuru?

Yadi aap bhi kaksha 10vin board pariksha urteern hai, aur aap Bihar Board kaksha 11vin satra 2026-28 mein namankan lena chahte hai toh yeh lekh aapke liye bahut mahatvapoorn hai. Kaksha 11vin mein namankan hetu Bihar Board dwara jald hi Ofss ke madhyam se online aavedan shuru hone wala hai. Ikchuk chhatron ko samiti ke aadhikarik website https://ofssbihar.net/ ke madhyam se BSEB 11th Admission 2026 ke liye online aavedan karna hoga. Aavedan ke dauran chhatron ko kuch Important Document ki aavshakata hone wali hai, jo ki is lekh vistar purvak batai gayi hai.

11th Admission 2026 Bihar Board: Kab Shuru Hogi?

Bihar Board dwara pratyek varsh kaksha 10vin result ke baad kaksha 11vin mein namankan hetu online aavedan shuru kiya jata hai. Is varsh 2026 mein kaksha 10vin board pariksha ka aayojan 17 February se 25 February, 2026 tak aayojit ki gayi thi. Samiti dwara 10th Result 2026 Bihar Board ki ghoshna 28 March 2026 ko hone ki sambhavna hai, yani ki OFSS Bihar Board 11th Admission 2026 ke liye online aavedan 5 April se 10 April, 2026 ke bich shuru kiya ja sakta hai.

OFSS Bihar Inter Admission 2026 Online Apply Date
OFSS Bihar Inter Admission 2026 Online Apply Date

BSEB 11th Admission 2026: Namankan Ki Prakriya?

Bihar Board dwara inter mein namankan hetu Merit List taiyar kiya jata hai, jiske liye chhatron ko Online Facilitation System for Students (OFSS) ke madhyam se online aavedan liya jata hai. Pratyek varsh samiti dwara First, Second aur Third Merit List jaari kiya jata hai, jisme chhatron ka naam, BSEB Unique ID tatha anya mahatvapoorn jankariyan uplabdh rehti hai. Iske saath samiti dwara ek special round yani Spot Round ke madhyam se bhi liya namankan liya jata hai.

Bihar Board Class 11th Admission 2026 Eligibility: Kaun Kar Sakte Hain Aavedan?

Vaise sabhi vidyarthi jo varsh 2026 mein ya us se pehle kaksha 10vin board pariksha urteern kiye ho, vah sabhi online aavedan kar sakte hai.

  • Bihar Board (BSEB) ke chhatra jo matric pariksha urteern hai.
  • CBSE aur ICSE board se urteern chhatra.
  • Anya kisi bhi manyata prapt board se urteern chhatra online aavedan kar sakte hai.

Bihar Board 11th Admission 2026: Mahatvapoorn Dastawez?

Bihar Board 11th Admission 2026 ke liye chhatron ko namankan ke dauran in sabhi mahatvapoorn dastawezon ko online scan kar upload karna hota hai:

  • Chalu mobile number,
  • E-mail ID,
  • Aadhaar Card,
  • 10vin roll number,
  • 10vin roll code,
  • Kaksha 10vin mool praman patra,
  • Vidyalaya parityag patra,
  • Passport rangeen photo,
  • Jati praman patra,
  • Aay praman patra,
  • Niwas praman patra,
  • Pwd praman patra (yadi lagu ho),

OFSS Bihar Board 11th Admission 2026: Online Aavedan Shulk?

Bihar Board dwara kaksha 11vin namankan hetu online aavedan shulk ₹ 350 rupay nirdharit ki gayi hai, jo kuch is prakar hai:

Shulk Ka PrakarShulk Rashi
Aavedan Shulk₹ 150 rupay
Shikshan Sansthan Shulk₹ 200 rupay
Kul Aavedan Sulk₹ 350 rupay

Bihar Board 11th Admission 2026: Online Apply Kaise Karein?

Class 11th Admission 2026 Online Apply karne ke liye chhatron niche diye steps ka palan karna hoga:

  • step 1: Sabse pehle aapko OFSS ke aadhikarik website, https://ofssbihar.net/ par jana hai.
  • step 2: Homepage par “BSEB Inter Admission 2026” ke link par click karna hai.
  • step 3: Ab aapko apna Mobile Number va Aadhar Number ke madhyam se registration karna hai.
  • step 4: Registration ke baad aapko “Common Application Form” ko dhayan purvak bharna hai.
  • step 5: Form bharne ke baad “Document Upload” karna hai.
  • step 6: Ant mein Preview ke button par click kar, bhari gayi sabhi jankariyon ka jaanch karna hai.
  • step 7: Iske baad “Application Fees: ₹350 Rupees” bhugtan kar, form ka print out le lena hai.

Important Link

Apply OnlineClick Here – Link Active Soon
Join TelegramClick Here
Join WhatsappClick Here
Official WebsiteClick Here
Home PageClick Here

Leave a Comment