ग्रुप से जुड़ें
WhatsApp Group Join Now
Telegram Group Join Now

Bihar Board Inter Pass Scholarship 2026 Online Apply: 12वीं पास छात्राओं को मिलेंगे ₹25,000! यहाँ से करें ऑनलाइन आवेदन, ये रही पूरी प्रक्रिया।

On: 25/03/2026
Bihar Board Inter Pass Scholarship 2026

Inter Pass Scholarship 2026: Bihar School Examination Board (BSEB) se Inter varshik pariksha 2026 mein uttirn (pass) hone wali sabhi chhatraon ke liye khushkhabri hai. Bihar sarkar dwara “Mukhyamantri Kanya Utthan Yojana” ke tahat Inter pass hone par chhatraon ko ₹25,000 ki protsahan rashi (scholarship) di jati hai. Is yojana ka uddeshya ladkiyon ko uchh shiksha ke liye protsahit karna hai.

Niche diye gaye lekh mein Bihar Board Inter Pass Scholarship 2026 Online Apply se judi har ek jankari, jaise aavedan ki tithi, zaruri documents aur eligibility criteria vistar se di gayi hai.

Bihar Board 12th Pass Scholarship 2026: Overviews

ParticularsDetails
Yojana NameMukhyamantri Kanya Utthan Yojana (Inter Pass)
Board NameBihar School Examination Board (BSEB)
Scholarship Amount₹25,000/- (One Time)
BeneficiaryOnly Unmarried Girls (12th Pass)
Application ModeOnline
Start DateApril / May 2026 (Expected)
Official Websitemedhasoft.bih.nic.in

Also Read –

Bihar Inter Pass Scholarship 2026: Kaun apply kar sakta hai? (Eligibility)

Chhatra ka Bihar ka sthayi niwasi (Permanent Resident) hona anivarya hai.

Chhatra ne Bihar Board (BSEB) se varsh 2026 mein Intermediate (12th) pass kiya ho.

Is yojana ka labh kewal avivahit (unmarried) ladkiyon ko hi diya jata hai.

Chhatra chahe kisi bhi category (General, OBC, SC, ST) ki ho, sabhi ko iska labh milta hai.

First, Second ya Third Division se pass sabhi chhatraein iske liye aavedan kar sakti hain.

Scholarship Amount (Rashi)

Mukhyamantri Kanya Utthan Yojana ke tahat Inter pass karne wali chhatraon ko ₹25,000 ki rashi seedhe unke bank khate (Bank Account) mein DBT (Direct Benefit Transfer) ke madhyam se bheji jati hai.

Bihar Board 12th Pass Scholarship 2026 Online Apply
Bihar Board Inter Pass Scholarship 2026

Zaruri Documents (Important Documents List)

Online apply karne se pehle ye sabhi documents taiyar rakhein:

  • Inter Marksheet (Internet copy or Original)
  • Registration Card
  • Admit Card
  • Aadhar Card of Student
  • Bank Account Passbook (Bank account student ke naam par hona chahiye aur Bihar ka hona chahiye)
  • IFSC Code of Bank
  • Resident Certificate (Niwas Praman Patra)
  • Income Certificate (Aay Praman Patra)
  • Caste Certificate (Jati Praman Patra)
  • Passport size photo
  • Active Mobile Number & Email ID

Bihar Board 12th Pass Scholarship 2026 Online Apply Kaise Karein?

Step-by-step online aavedan ki prakriya niche di gayi hai:

  • Step 1: Sabse pehle Medhasoft ki official website medhasoft.bih.nic.in par jayein.
  • Step 2: Home page par “Apply For Online 2026 (Registration)” ke link par click karein.
  • Step 3: Diye gaye sabhi guidelines ko padhein aur “Check Box” par tick karke “Continue” par click karein.
  • Step 4: Ab Registration Form khulega, ismein apna Roll Code, Roll Number, Name, Date of Birth aur Marks darj karein.
  • Step 5: Apna Aadhar Number aur Mobile Number verify karein (OTP ke madhyam se).
  • Step 6: Bank details sahi-sahi bharein aur form ko “Submit” karein.
  • Step 7: Registration ke baad aapko User ID aur Password milega (kuch dino baad verification ke baad).
  • Step 8: User ID aur Password se Login karke form ko “Finalize” karein.
  • Step 9: Ant mein aavedan ka print out nikal kar surakshit rakhein.

Important Link

Apply OnlineClick Here – 27 March
Join TelegramClick Here
Join WhatsappClick Here
Official WebsiteClick Here
Home PageClick Here

Leave a Comment