BSEB Bihar Board 10th Matric Result 2026 LIVE: Bihar Board Matric pariksha 2026 mein shamil hue lakhon chatra is samay apne result ka besabri se intezar kar rahe hain. Pichle kuch dinon se social media par lagatar yeh charcha ho rahi hai ki Bihar Board 10th ka result aaj dopahar 1:30 baje jari ho sakta hai. Is khabar ke baad chatra aur abhibhavak kaafi utsuk ho gaye hain aur lagatar yeh janne ki koshish kar rahe hain ki kya sach mein aaj result ghoshit kiya jayega.
Halanki Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti ki ore se abhi tak result jari karne ko lekar koi adhikarik ghoshna nahi ki gayi hai. Board ne social media par viral ho rahe us notice ko bhi farzi bataya hai jisme dawa kiya gaya tha ki result 28 March ko 1:30 baje jari hoga. Isliye chatron ko salah di jati hai ki ve kisi bhi afwah par bharosa na karein aur keval adhikarik website se hi update prapt karein.
BSEB Bihar Board 10th Result 2026: Overviews
| Pariksha Board | Bihar Vidyalaya Pariksha Samiti |
| Pariksha ka Naam | Bihar Board Matric Exam 2026 |
| Kaksha | 10th |
| Pariksha Tithi | 17 February – 25 February 2026 |
| Sambhavit Result Tithi | 29 – 31 March 2026 |
| Result Mode | Online |
| Aavashyak Jankari | Roll Number aur Roll Code |
| Adhikarik Website | https://biharboardonline.bihar.gov.in |
Result jari hone ke baad chatra apne roll number aur janmtithi ki madad se online result check kar sakenge. Is lekh mein hum aapko Bihar Board 10th result 2026 se judi sabhi zaruri jankari, result check karne ki prakriya aur pichle varshon ke result trend ke bare mein batayenge.
- Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026: बिहार बोर्ड 10वीं पास स्कॉलरशिप में किसे मिलेंगे ₹8,000 और किसे ₹10,000? ऐसे करें ऑनलाइन आवेदन.
- Bihar Board 12th Pass Scholarship 2026: इंटर पास छात्राओं को मिलेंगे ₹25,000! जानें आवेदन की पूरी प्रक्रिया.
- Bihar Mukhyamantri Pratigya Yojna Internship Yojana 2026 : नीतीश सरकार दे रही है ₹6000 महीना और फ्री ट्रेनिंग, ऐसे करें फटाफट आवेदन.
- UP Board 10th Result 2026 Out Link: मैट्रिक रिजल्ट का इंतज़ार खत्म! यहाँ से चेक करें अपना परिणाम तुरंत
- Up Board 10th Result 2026 Out: मैट्रिक का रिजल्ट हुआ जारी? यहाँ से चेक करें डायरेक्ट लिंक
BSEB Bihar Board 10th, Matric Result 2026 Date
Bihar Board ki ore se Matric pariksha ka result har saal March ke antim saptah mein jari kiya jata hai. Pichle saal yani 2025 mein Matric ka result 29 se 31 March ko ghoshit kiya gaya tha. Isi trend ko dekhte huye ummid ki ja rahi hai ki is baar bhi result March ke antim dinon mein jari kiya ja sakta hai.
Halanki abhi tak board ki taraf se result ki final tareekh aur samay ki ghoshna nahi ki gayi hai. Haal hi mein social media par ek notice viral hua jisme dawa kiya gaya tha ki result 28 March ko dopahar 1:30 baje jari hoga, lekin board ne ise puri tarah se galat bataya hai.

Board ke anusar result jari karne se pahle adhikarik press conference aayojit ki jayegi. Usi dauran toppers list, pass pratishat aur anya mahatvapurn aankde bhi jari kiye jayenge. Isliye chatron ko salah di jati hai ki ve keval adhikarik website par hi bharosa karein.
Chatron ko result check karte samay apna roll number aur roll code pahle se taiyar rakhna chahiye taki result jari hote hi aasani se parinam dekha ja sake.
In website se check kar sakenge Bihar Board 10th Result 2026
Result jari hone ke baad chatra kai adhikarik website ki madad se apna parinam dekh sakenge. Yadi ek website par jyada traffic ho toh chatra dusri website ka upyog kar sakte hain.
- biharboardonline.bihar.gov.in
- results.biharboardonline.com
- bsebexam.com
In website par result jari hote hi link active ho jayega aur chatra apna scorecard download kar sakenge.
Aise check karein Bihar Board 10th Result 2026
Bihar Board Matric result check karna kaafi aasaan hai. Niche diye gaye steps ko follow karke chatra kuch hi minute mein apna parinam dekh sakte hain.
- Sabse pahle Bihar Board ki adhikarik website kholna hai.
- Homepage par Bihar Board 10th Result 2026 link dikhayi dega.
- Us link par click karna hai.
- Ab naya page khulega jahan roll number aur janmtithi darj karni hai.
- Jankari bharne ke baad submit karna hai.
- Iske baad result screen par dikhayi dega.
- Result download karke uska print out surakshit rakhna hai.
Important Link
| 10th Result 2026 | matricbiharboard.com results.biharboardonline.org |
| Join Telegram Channel | Click Here |
| Join Whatsapp Channel | Click Here |
| Official Website | Click Here |
| Home Page | Click Here |










