Bihar Board kaksha dasvin ki pariksha mein shamil hue chatron ko ummid hai ki Bihar Board kaksha dasvin pariksha ka result aaj yani 28 March, 2026 ko jari kiya ja sakta hai. Halanki BSEB ki ore se abhi tak result jari karne se sambandhit koi adhikarik adhisuchna jari nahi ki gayi hai. Iske sath hi Bihar Board ki ore se kaksha dasvin mein top karne wale sambhavit topperon ke interview bhi le liye gaye hain. Aise mein ummid hai ki result aaj jari kiya ja sakta hai.
Kaksha dasvin ki pariksha mein shamil hue sabhi chatra Bihar Board Matric ka result official website biharboardonline.bihar.gov.in par jakar dekh va download kar sakenge. Result download karne ke liye chatron ko roll number aur janmtithi ki zarurat hogi.
- Bihar Board 10th Pass Scholarship 2026: बिहार बोर्ड 10वीं पास स्कॉलरशिप में किसे मिलेंगे ₹8,000 और किसे ₹10,000? ऐसे करें ऑनलाइन आवेदन.
- Bihar Board 12th Pass Scholarship 2026: इंटर पास छात्राओं को मिलेंगे ₹25,000! जानें आवेदन की पूरी प्रक्रिया.
- Bihar Mukhyamantri Pratigya Yojna Internship Yojana 2026 : नीतीश सरकार दे रही है ₹6000 महीना और फ्री ट्रेनिंग, ऐसे करें फटाफट आवेदन.
- UP Board 10th Result 2026 Out Link: मैट्रिक रिजल्ट का इंतज़ार खत्म! यहाँ से चेक करें अपना परिणाम तुरंत
- Up Board 10th Result 2026 Out: मैट्रिक का रिजल्ट हुआ जारी? यहाँ से चेक करें डायरेक्ट लिंक
Kahan se kar sakte hain result download
Bihar Board kaksha dasvin ki pariksha mein shamil hue chatra official website biharboardonline.bihar.gov.in ke alava results.biharboardonline.com aur secondary.biharboardonline.com se bhi apna result download kar sakte hain.

Bihar Board 10th Result 2026: Result download karne ka aasan process
BSEB ki ore se aaj yani 28 March ko Matric ka result jari kiya ja sakta hai. Isliye chatron evam abhibhavakon ki sahayata ke liye yahan result download karne ke aasan steps bataye gaye hain, jise follow karke result download kar sakte hain.
- Matric pariksha ka result download karne ke liye sabse pahle official website biharboardonline.bihar.gov.in par jakar visit karein.
- Ab website ke homepage par result active link par click karna hoga.
- Link par click karne ke baad login detail jaise roll number aur janmtithi ko darj karein.
- Iske baad result screen par open ho jayega.
- Ant mein iska ek print out bhi avashya nikal lein.
Important Link
| 10th Result 2026 | matricbiharboard.com results.biharboardonline.org |
| Join Telegram Channel | Click Here |
| Join Whatsapp Channel | Click Here |
| Official Website | Click Here |
| Home Page | Click Here |
Paas hone ke liye itne ank zaruri
Bihar Matric ki pariksha mein paas hone ke liye chatron ko pratyek vishay mein nyuntam 33 pratishat ank prapt karna anivarya hai. Isse kam ank prapt karne wale chatron ko pariksha mein safal nahi mana jayega. Iske sath jo chatra is pariksha mein fail honge. Ve compartment pariksha mein shamil hokar apne pradarshan ko sudhar sakte hain. Compartment pariksha ka form result jari hone ke baad active kar diya jayega.










